Sunday, December 7, 2008

Pita-Bete ka Sanvad

Pehle ke samay BAAP – BETE ke ye dialogue hua krte the,

BETA – Pita ji aap ji ne meri zindgi per bhut upkaar kiya hai . Aap
ji ne mujhe janm diya , mujhe ye sunder sansar dekhne ka mauka diya ,
mujhe study karvai , mujhe apne paron per khda kiya aur is kabil bnaya
ki main is duniya mein achi treh se jee skoon. Aap ji ne mujh per apna
tan , mann , dhan sab kurbaan kiya hai . main aap ka ye karz kabhi nhi
utar sakta.

BAAP – Beta is mein maine kya bda kaam kiya . Ye sab to mera farz tha
.maine tumhe janm diya to tumhara palan poshan kerna mera farz hai jo
maine nibhaya hai . Sari duniya hi aisa krti hai, maine koi duniya se
alag baat nhi ki . Maine koi tum per ehsaan nhi kiya blki apne farzon
ki hoi poorti ki hai.

LAKIN AAJ KE SAMAY MEIN YE DIALOGUE ULTE HO GYE HAIN, AAJ KE SAMAY
MEIN BAAP – BETE KE KYA DIALOGUE HO GYE HAIN ZRA DAKHIYE-

BAAP- Batay maine tumhari zindgi per bhut upkaar kiya hai . Maine
tumhe janm diya , tumhein ye sunder sansar dekhne ka mauka diya ,
tumhein study karvai , tumhein apne paron per khda kiya aur is kabil
bnaya ki tum is duniya mein achi treh se jee skoo. Maine tum per per
apna tan , mann , dhan sab kurbaan kiya hai .Tum mera ye karz kabhi
nhi utar saktay.

BETA-Aap ne is mein kya bda kaam kiya . Ye sab to aap ka farz tha .Aap
ne mujhe janm diya to mera palan poshan kerna aap ka farz hai jo
aapne nibhaya hai . Sari duniya hi aisa krti hai, aap ne koi duniya
se alag baat nhi ki . Aap ne koi mujh per ehsaan nhi kiya blki apne
farzon ki hi poorti ki hai.

Isi kaarn ghron mein sab ulta –pulta ho jata hai . kyonki ye dialogue
ulte bol rhe hain. Beta , Baap ke dialogue bol rha hai . Baap,
Bete ke dialogue bol rha hai.

Yhan per BABA JI samjhatey hain ki , apne –apne dialogue theek kro .
Baap apne dialogue bole , aur Beta apne dialogue bole tabhi sab theek
thak hoga aur ghron mein shanti aayegi.

SANT VIVEK SHAUK JI

Santo ji Vivek Shauk ji k ye vachan Batate he ki Duniya me Sabse Bade Mata-pita he unki seva karana , unka satkar karna hi bachho ka dharam he, farz he.
Santo Ashirvad Do ki das bhi apne mata-pita ki seva karke babaji ko khush kar sake ji

Dhannirankar ji