Sunday, December 7, 2008

Guru K Pass Guru Se Dur (From Prit Pal Ji From Canada)

Jo samajhtay hain ki shareer ker ke GURU ke nikat rehne se achi sewa
hoti hai , vo theek nhi. Shaster bhi yehi kehtey hain ki
1 AGNI ( FIRE)
2. GURU ( TRUE MASTER)
3. RAJA ( KING)
4. ISTRI (WIFE)
Atyant nikat rehne se hanikark aur ati door rehne se falheen (
labhheen ) hote hain . Inka sevan mdhya bhav se hi karna chahiye.
Bhakti mein jin panch `SAKARON `ka bahut mahatav hai, vo hain
1 . SEVA
2. SIMRAN
3. SATSANG
4. SATIKAR
5. SADACHAR.
GOSWAMI TULSI DAS JI ke anusar to sewa hi mool hai aur baki sab inke
fool hain.
Tabhi to manav ke patron mein HANUMAN JI aur BHARAT JI ka sthan
bhut uooncha hai. Inmein se ek ne RAM JI ke pas rehker unki sewa ki
aur doosre ne RAM JI se door reh ker unki aagya ka palan kiya .
Is se sidh hota hai ki GURU ke paas reh ker sewa kerne wale bhakt se
GURU se door reh ker aagya ka palan kerne wala sewak kisi bhi treh se
kam nhi hai.
TULSI DAS JI ne to yhan tak bhi likha hai ki HANUMAN JI ki sewa ka
varnan to main bhi ker sakta hoon aur kai sthano per kiya bhi hai per
BHARAT JI ki bhakti ka varnan to BRAHMA , VISHNU , aur SHIV bhi nhi
ker sakte.