Saturday, May 16, 2009

Again an artical from Rev saint Pritpal ji..

Ek baar do insan , kisi job k liye test dene k liye gye. Dono ne ikathay test comlete kiya .
Kuch dair baad Human Recource officer ne ek candidate ko bulaya aur kha .
Aaj kmaal ho gya , aap dono k ek jaisay question hi theek huye , ek jaisay questin hi glt huye.
Lakin humne doosray candidate ko job de di.
Pehlay candidate ne poocha – Aap ye kaisay ker sktay hain , ydi humare ek jaisay hi question galt aur shi hain to aap sirf usko job kaisay de sktay hain.
Officer ne kha – aap dono ne ek question ka galt answer diya tha , per uska galt answer aap se acha tha , is liye usko job mil gyi.
Candidate – vo kaisay?
Officer- Ek question ka galt answer us candidate ne likha tha ,
I DON'T KNOW .
Aur aap ne likha tha,
ME NIETHER.
------------ --------- --------
Copy kerna kabhi na kabhi pakda jata hai , Duniya mein ye chahe kayi baar kaam ker jaye per bhakti mein copy kerna kabhi labh nhi deta . yhaan to hamesha bhavna ko hi fal milta hai .
Copy kerne se main doosron ko to kuch der k liye apne bhakt hone ka ykeen dilva sakta hoon per asl mein vo labhdayak nhi hota .
Ek baar das SANTOKH SAROVER per gya . Mere agae ek aur great saint thay , jab hum sarover mein enter ho rhe thay to vo sant mujh se aagay thay . vhaan enterence gate per ek chota sa pani ka pound sa hai jis mein se sabhi sant apne charn daal ker aagay chaltay hain .
Vo sant jab vhaan pahunche to unhone us mein khde ho ker , apne hath mein vo pani uthaya aur simran ker k pee liya. Main unkay peechay vhaan per khda tha , maine bhi vaisae hi kiya ,
Lakin jab maine apne hath mein pani liya to mere mann ne kha ye to bahut gnda ho gya hai sab k charno se . Lakin ab kya kerta aas pass sbhi dekh rhe thay , maine bhi pee liya.
Ab baad mein mann mein ye bhaav aa rhe thay ki khin is se mein bimaar na pad jaoon , ye to bahut ganda tha . Baar Baar simran kroo ki khin kuch ho na jaye .
Das ko ab ye khyaal aaya ki . un santo ne jaisa kiya , vaisa ker k main duniya ko to ye dikhla sakta hoon ki , dekho mera kitna vishvas hai , per asl mein main vo sukh aur anand nhi prapat ker sakta .Asl sukh to vishvasi bhakt ko hi prapat ho sakta hai.
Yhaan per ye bhi mumkin hai ki mujh ko is ka nuksan bhi ho jaye , jaise Laxman ji ko Bhakt Shabri k bairon se grina ker k nuksan hua tha . Log kehtay hain ki vo bair jin ko laxman ji ne grina ker k nhi khaya tha aur faink diya tha , vo hi joothay bair un k liye sanjeevni booti bne the aur unhe moorshit hoker khane pde the .
Tbhi Mahatma ji kehtay hain ki charnamrit sab k samne nhi bnana chahiye , aur bnane k baad sbhi ko bina mange serve bhi nhi kerna chahiye . ydi kisi k mann mein charnamrit k prati grina ka bhaav aa gya aur aap k kehne per usko na chahte huye bhi lena pda to usko fayday ki jgeh nuksan ho skta hai.charnmrit ka fayda to shrdha se peenay per hai , nhi to vo bhi sirf pani se zyada kuch nhi.
Das ko pehle Sewa mein copy kerne ki bahut aadt thi , Jab bhi main kisi mahatma ko koi sewa routine mein kertay dekhta tha to meri koshish hoti thi ki un se pehlay pahunch ker vo sewa ker doon. Jab vo mahatma baad mein aatay thay to dekhte thay ki vo sewa to ho chuki . Vo Mahatma koi aur sewa kerne lag jatay thay.
Ek baar ek Sant Ji ne mujh ko samjhaya ki jab aap aisa kertay ho kisi se koi sewa cheentay ho to vo sant to aap ko sewa deker sab prapat ker jata hai aur aap ji sewa ker k kuch bhi nhi.
Vo aisay ki aap ne unki routine ki sewa ki aur aap khush ho gye , aap ko indirect roop se hi khushi deker vo sant to malamaal ho gya . Lakin aap ji ne unki sewa cheen ker unki feelings thodi si hurt ker di , is treh aap vo sewa ker k bhi vo labh nhi prapat ker paaye jo sewa se hota hai.

SEWA DE VICH SAB KUJJ HI A , SEWA DE VICH KUJJ V NHI,
BHAA GYI TAA KHOOB , VRNA KHAAMKHA NUKSAN A.

Mujhe sant ji ne samjhaya ki sabse important hota hai doosron ko khushi dena , ydi vo sewa ka tyag ker k bhi milti hai to bhi fayde vali hi hai.Unhone aagay samjhaya ki Bhawan per seva to bahut hoti hai bas Sewa Ko Dhoodne Vali Nazar Chahiye Aur Sewa Kerne Vala Dil Chahiye . Fir aap ko kbhi kisi ki sewa cheen ne ki zroorat nhi padegi .

SEVA OH JEHDI BHAA GYI , SEWAK OH JEHDA JCHCH GEYA ,
SEWA V OH PARDHAN E , SEWAK V OH PARDHAN E.

Das ne un k charno per Namaskar ki aur Ashirvaad manga ki Das bhi jeevan mein vo hi sewa ker paaun jo GURU ko bhi bhaa jaye aur SANTO ko bhi bhaa jaye .

Aap ji ki charndhool
Pritpal( Winnipeg)