Sunday, December 7, 2008

Pathhar Jesa Vishvas Hona Chaiye...Yug Pravartak Baba Gurubachan Singh Ji Maharaj

Jab bhi koi aisi baat hoti hai , jo humein bhyanak dikhai deti hai ,
bhut kasht daynay vali ya dukh daynay vali dikhai deti hai . Us mein
bhi humare liye koi na koi labh chupa hota hai , jo humein kuch samay
baad dikhai deta hai .
Jaisay jis samay badh ( flood) aati hai , to aisa lagta hai ki sab
kush badh mein beh rha hai , sabhi kuch khatm ho rha hai , per kisan
log jantay hain ki us badh mein pani kay sath kai guna upjauu shakti
aa jati hai , khad ( fertilizer) aa jati hai , jis kay natezay kay
taur per aanay vali fasl itni bharpoor hoti hai ki pichlay nuksaan ko
poora ker deti hai .
Is liyay humein kabhi sochna ya ghabrana nhi chahiye .
Humare samnay ydi koi ghatna ghat jati hai , to veh humari trutiyon
aur kamiyaon ko door krnay kay liye hoti hai . Humara bolnay ka dhang
kuch galt hoga , humara kirdar kuch galt hoga , humein yeh chaytavni
milti hai . Humein inhi ko theek kerna hai .
HUMEIN YEH NHI SOCHNA KI IS GHATNA SE HUM KUCH KAM HO
JAYENGAY , BALKI AISA SOCHNA HAI , KI HUM PEHLAY SAY BHI
ADHIK APNAY KIRDAR AUR GUFTAR KO SWAREINGAY.

BABA GURBACHAN SINGH JI

Bhakton ki visheshta hi yhi hoti hai . Ve musibat kay samay apnay
NIRANKAR DATAR aur SATGURU per kai guna zyada bharosa kartay
hain.DATAR PRABHU bhi unkay andar sehansheelta , sthirta aadi daivi
gun bher deta hai. Ve kisi bhyanak samay mein bhi davandol nhi hotay,
kyonki har halat mein ve sarv- shaktimaan datar prabhu ka hi shara
laytay hain.

BABA GURBACHAN SINGH JI